Here’s a poem recited on the occasion of Republic Day 2025.

Aao behte saath mein
Soche kuch ek baat pe
Kya hai ye wahi sard rituye
Jab kuch nahi tha haath mein
Thoda chalo इतिहास dohraye
Shahido ke balidaan par
Thoda aur gaur farmaye
Na jane iss loktantra ko paane mein
Kitno ne pran gavaye
Koi kisi ka beta hoga
Koi kisi ka bhai bhi
Aa jaate hai aansoo yeh soch ke
Ki kaise hum azaad e-hind kahlayein
Ab azaad hai soch humari
Faisle lene ko taiyaar bhi
Toh
Garv se kyu na naare lagaye
Jai Hind Jai Bharat
Baar Baar Dohraye